Real Secret / Story of Bhangarh in Hindi

Real Secret / Story of Bhangarh in Hindi

bhangarh-fort

Hello friends, Is post mein main aapko btane jaa raha hun bharat ke sabse haunted place “Bhaanghar” ke baare mein ” . Iska saboot bhanghar me Bharat sarkar duwara lgaya gya board deta hai, jo batata hai ki Raat ko bhaanghar me jana mna hai, bhaanghar me aksar raat ko bachon ke rone, cheekhne chillane ki aawaze sunayi deti hai, iske baare me to bohot log jaante hain, par uske pichhe ki kahani bohot kum log jante hain,
To chaliye aaja aapko btate hai bhaanghar ke pichhe ki kahani, bohot saal pehle Bhaanghar bohot hi taqatwar rajya maana jata tha, aur bhaanghar ka raja bohot hi nirdayi aur karooar tha, sare aas paas ke raja bhi usse tang the, raja ki ek bohot hi sundar beti bhi thi par bho bhi apne pita ki tara bohot hi hankaari aur nirdayi thi jab wo ghar se nikalti thi to uski taraf koyi aankh uthake nahi dekhata tha , agar koyi dekh leta to use saarbjanik(sabke saamne) mrityu dand de diya jata aur uski pehle aankhein nikaali jaati aur fir sir kaat diya jata,…
Par uske hi rajya mein ek aghori rehta tha, ek din jab raajkumari nagar mein kharidaari karne aayi to us aghori ne use dekha aur raajkumari ki sundarta ko dekh kar hairan reh gya aur raajkumari ko ektuk hokar dekhne lag padha jab raajkumari ki nazar aghori par padi to use gussa aa gya aur aghori ko bohot apshabad keh diye aur apne sipahiyon se use pakd kar raaja ke saamne le jaane ko keh diya…

Raaja ke saamne aakar aghori ne raaja se maafi maangi aur apni jaan baksh dene ke liye raaja ki minnte ki par raaja ne uski ek na suni aur apni kruartaa ka praman dete huye kaha ki “is aghori ko zinda, bhukhe kutto ke samne daal do aur iske shareer pe maas ka ek tukda bhi na rahe…”

Aghori raja ke sahmne chillaya apni jaan ki bheekh maangi par raaja ne uski ek na suni aur use bhukhe kutton ke saamne daal diya gya, aur yeh nazara raja apni raani aur beti ke sath baith kar dekh raha tha tabhi dard bhari aawaz mein aghori chilla kar bola “raja jis tarah tere kutte mere shareer par maas ka ek tukda nahi chhodeinge usi tarah tere rajya ka bhi haal hoga yeh viraan khandar ban jayega, aur ek bhi zinda insaan is rajaya mein nahi bachega….”

Aur esa hi huya kuchh same baad aas paas ke sabhi rajayon ne mil kar bhanghar par hamla kar diya yudh bohot samye tak chala aur aakhir kaar raja ka pura pariwaar to khatam huya hi uske sath sath bhaanghar ka bacha bacha tak us hinsa me maara gya, aur bhaanghar viraan reh gya…
Aaj bhi vahan par ghodon ki hunkaar, bachon ke rone ki aawaze, aurto ke cheekhne ki aawaze aur talwaaron ke chalne ki aawaz bhaanghar mein sunayi deti hai, us aghori ke shraap se aaj bhi shaapit bhaanghar hazaron nirdosh logon ke katal se muqt nahi huya aur shayad hi kabhi ho paye…

You may also like : –

Related Searches that brings you here: – 

Bhangarh fort images, bhangarh fort real story, story behind bhangarh, horror story of bhangarh, most haunted places of india, secret of bhangarh in hindi.