bewafai.. judaai… gam by anjali sakwal
Gam nahi tere is kadar badal jane kaa…
aas nahi he tere vapas aane ki..
aehsas nhii he muje teraa..
ummid nahii.. ki tu vo ban jaye jo kal tha..
parvah muje teri nahi.. apne dil kii he..
varna tuje khwab me dekhana.. meri aadat nhii
shayad kal pagal thi tere liye.. par aaj nahi.
ye dil pagal he tere liye.. varana nahi chahati tuje dekhana fir see kabhi..
in dhadakano pe tera name hee..
par ye bhi janati hu tu wafa ke liye kaabil nahi…
badalate rango si he teri sirat.. or bholi si he surat
par ye gora rang.. kala dil.. jaaan chuki hu tuje me.. nahi kaabil tu wafa ke..
kyaa khub khel khela he.. is dil sang.. ye mera ho kar bhi mera na raha..
dil ko manaya har dafa.. par mana nahi ye mera kahana… kahata he bas tuje chahata he.. janati hu is me mera nahi is dil ka kasoor he…
dekh ab iska koi vaasta na raha muj se.. ye bi teri tarah bewafa nikala..
ae khuda.. ab or kitane gam baaki hee..
ab kuch aesa kar khuda bhul jau me wafa..
or aj kahani vahi se shuru karni he. jab ye dil bachcha thaaa…
na kisi ke aane ki khushi thi.. na jane kaa gam